Mubarak ho tumko naye saal ki
Mubarak ho sabko naye saal ki
Shukriya hum kare pyare Yeshu ki
Jagmag huwa hai sara aasma
Roshan hua hai sara ye sama
Gunj uthi hai zameen aasma
Shukriya hum kare pyare Yeshu ki
Pichle dino mein tu sath raha
Aaj bhi tu sath chalta raha
Har kami ghati ko pura karta raha
Shukriya hum kare pyare Yeshu ki
Aage ke dino mein sath rahega
Ek din humko sang le jayega
Wahan anant jeevan hume milega
Shukriya hum kare pyare Yeshu ki
Post a Comment